Maa Ka Bulawa Aaya Hai Lyrics
Maa Ka Bulawa Aaya Hai Lyrics

Maa Ka Bulawa Aaya Hai Lyrics – Jubin Nautiyal

Maa Ka Bulawa Aaya Hai Lyrics is brand-new Hindi bhakti song sung by Jubin Nautiyal, feature Khushagre Dua and Sarla Dholakia. Manoj Muntashir wrote the lyrics for the song Maa Ka Bulava Aaya Hai, while Payal Dev provided the music and Lovesh Nagar directed the video.

Maa Ka Bulawa Aaya Hai Song Details:

Song:Maa Ka Bulawa Aaya Hai
Singer: Jubin Nautiyal
Lyrics:Manoj Muntashir
Music:Payal Dev
Starring:Kushagre Dua, Sarla Dholakia
Label:T-Series

Maa Ka Bulawa Aaya Hai Lyrics

Oonche Oonche Parvat Gaaye
Humko Apne Paas Bulaye
Qismat Wale Hote Hain Woh
Maa Jinko Aawaaz Lagaye

Sapne Mein Jagdamba Ne
Apna Dwaar Dikhaya Hai
Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Sapne Mein Jagdamba Ne
Apna Dwaar Dikhaya Hai
Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Meri Aankhon Mein Jo Dekhi
Toone Peer Thodi Si Bhi
Hanste Hanste Maai Tere
Naina Bhare Hain

Meri Aankhon Mein Jo Dekhi
Toone Peer Thodi Si Bhi
Hanste Hanste Maai Tere
Naina Bhare Hain

Tere Jaisa Kaun Jag Mein
Jab Chubhe Hain Kaante Pag Mein
Mujhse Pehle Maai Tere
Aansu Gire Hain Haan..

Beta Maa Ko Bhool Bhi Jaaye
Maa Ne Kahan Bhulaya Hai
Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Sapne Mein Jagdamba Ne
Apna Dwaar Dikhaya Hai
Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Paudi Paudi Chadhte Jaao
Kehte Jaao Jai Mata Di
Paas Bahut Hai Maa Ka Mandir
Sab Dohrao Jai Mata Di

Rukne Paaye Na Jaikara
Saare Gaao Jai Mata Di
Saare Gaao Jai Mata Di

Paaon Ke Chhale Bol Rahe Hain
Maa Ke Siva Sab Maya Hai
Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Sapne Mein Jagdamba Ne
Apna Dwaar Dikhaya Hai
Aaj Toh Rukna Mushqil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Aaj Toh Rukna Mushkil Hai
Maa Ka Bulawa Aaya Hai

Lyrics by: Manoj Muntashir

For More Bhakti Songs Click On This Link: Bhakti Songs

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *